Din bhi na beeta raat na beeti
Teri aik bhi baat na beeti
Thehar gayi aa kar aankhon main
Teray bin barsaat na beeti
Aansoo rukay na in naino se
Taron ki baraat na beeti
Jam si gayi ehsaas kay andar
Jeewan beeta maat na beeti
Beet gaye hain un'ginat zamanay
Aik tumhari zaat na beeti
No comments:
Post a Comment