Dukh ki lehar ne chaira ho ga
Yaad ne kan'kar phainka ho ga
Aaj to mera dil kehta hai
Tu is waqat akela ho ga
Meray choomay huye haathon se
Auron ko khat likhta ho ga
Bheeg chalein ab raat ki palkein
Tu ab thak kar soya ho ga
Rail ki gehri seeti sun kar
Raat ka jungle goonja ho ga
Shaher kay khaali station par
Koi musafir utra ho ga
Aangan main phir chiriyan bolein
Tu ab so kar utha ho ga
Yaadon ki jalti shabnam se
Phool sa mukhra dhoya ho ga
Moti jaisi shakal bana kar
Aainay ko takta ho ga
Shaam hui ab tu bhi shayed
Apnay ghar ko lota ho ga
Neeli dhundli khamoshi main
Taron ki dhun sunta ho ga
Mera saathi shaam ka tara
Tujh se aankh milata ho ga
Shaam kay chaltay haath ne tujh ko
Mera salam to bheja ho ga
Pyasi kurlati koonjon ne
Mera dukh to sunaya ho ga
Main to aaj bhout roya hoon
Tu bhi shayed roya ho ga
"Nasir" tera meet purana
Tujh ko yaad to aata ho ga
No comments:
Post a Comment