Hans nahin saktay shagoofay taazgi se rooth kar
Hum zamanay main jiye hain zindagi se rooth kar
Zulf-e-jana se mili fikar-o-nazar ki chandani
Zulmatein hum ne nikharein roshni se rooth kar
Khud mananay kay liye aaye mujhay deir-e-haram
Sajda-e-ilhaam paya bandagi se rooth kar
Gham se ronaq ho gayi ka'shana taqdeer main
Mut'maein hai dil ki duniya her khushi se rooth kar
Aik din saqi ! yahi tootay huye jaam-o-sabu
Meh'kaday tarteeb dain gay tishnagi se rooth kar
Sochtay hain hasraton kay mor par shaam-o-sehar
Jayein gay Saghar kahan un ki gali se rooth kar
No comments:
Post a Comment