Husan-e-fitrat ne mujh pe jadu kiya , dil wahin reh gaya
Phool ' kohsaar , jungle , sitaray , hawa , dil wahin reh gaya
Tum mujhay saath lay aaye acha kiya , par tumhein kya pata
Meray mohsin meray yaar-e-dard aashna , dil wahin reh gaya
Youn hua jaisay bijli si chamki wahan aur kya ho biyaan
Aankh khultay hi dekha keh sab theek tha , dil wahin reh gaya
Main khudaon ki basti main mabhoos tha , zehan maflooj tha
Jis jaga koi insaan mujh ko mila , dil wahin reh gaya
Kharman-e-jaan yeh jab barq-e-wehshat giri tab kissay hosh tha
Jism ko khair main ne sambhala diya , dil wahin reh gaya
Us ne Khalid mujhay aaj apna kaha , kaisay mumkin hua
Ghar to main aa gaya sochta sochta , dil wahin reh gaya
No comments:
Post a Comment