Ishq koh-e-garaan hai lagta hai 
Yeh haqeeqat gumaan hai lagta hai 
Wasal lamhon main soch uggti hai 
Hijar bhi darmiyan hai lagta hai 
Mil gaye hum do chahnay walay 
Yeh koi daastan hai lagta hai 
Aisi taza nishaniyan hain teri 
Tu abhi tak yahan hai lagta hai 
Aag andar kahin pe sulgay to 
Chaar janib dhuwan hai lagta hai 
Tu jo bhooli nahin mujhay ab tak 
Koi mujh sa wahan hai lagta hai 
Aa gayi hai gharri bicharnay ki 
Aisa socha kahan hai lagta hai 
Jhil'milanay lagi hain jo aankhein 
Kuch to dil main nihaan hai lagta hai 
Sab se kehta hai haal is dil ka 
Mera chehra zuban hai lagta hai 
 
No comments:
Post a Comment