Isi se hota hai zaahir jo haal dard ka hai
Sabhi ko koi na koi wabaal dard ka hai
Sehar siskatay huye aasman se utri
To dil ne jaan liya yeh bhi saal dard ka hai
Ab is kay baad koi raabta nahin rakhna
Yeh baat teh hui lakin sawal dard ka hai
Yeh dil , yeh ujjri hui chasham-e-nam , yeh tanhai
Hamaray paas to jo bhi hai maal dard ka hai
Yeh jhaank leti hai dil se jo doosray dil main
Meri nigah main sara kamal dard ka hai
Aseer hai meri shaakh naseeb patt jhar main
Meray prinda-e-dil par bhi jaal dard ka hai
Badal gaye meray halaat dil to kya ho ga
Yeh aisi baat hai jis main zawal dard ka hai
Dilon pe zinda tha dil hi nahin rahay hain yahan
Ab aisay shaher main jeena mohaal dard ka hai
Jamood torti aankhein , sakoot tortay lab
Yeh naak naqsha yeh sab khad-o-khaal dard ka hai
Suna hai teray nagar jaa basa hai be'chara
Sunao kaisa wahan haal chaal dard ka hai
Wagarna khaar-o-khizan kay siwa kuch bhi nahin
Bas ik phool meri daal daal dard ka hai
Ukharti jati hai dewana waar Ae'riyon se
Zameen-e-jaan pe hamari dhamaal dard ka hai
Faqeer baithay huye hain bhout sakoon se hum
Teri judai ki kutiya hai haal dard ka hai
Keh hum ne kis kay liye jaan azab main daali
Hamein to aaj bhi khud se malaal dard ka hai
Hamaray seenay main dil ki jaga pe pathar hai
Isi liye to yahan aisa kaal dard ka hai
Tumhari chah ne dhoondi thi meri abadi
Yeh ghaao seenay ki basti main khaal dard ka hai
Yeh ishq hai issay temaar'dariyan kaisi
Issay na pooch yeh boorha nidhaal dard ka hai
Hum us ko dekhtay jatay hain , rotay jatay hain
Yeh sehan-e-shab main para hai jo thaal dard ka hai
Na tum main koi sukh ki baat hai na mujh main hai
Tumhara aur mera milna wisaal dard ka hai
Abhi kahin se karri koi bhi nahin tooti
Abhi to silsala sara ba'haal dard ka hai
Meri taraf se guzar ka khayal rehnay do
Yeh raasta bhi bhout pai'maal dard ka hai
Dil-o-nazar to rahein gay sakoon main lakin
Shab-e-firaaq mujhay ehtimaal dard ka hai
Kisi ka dard ho apna samjhnay lagtay hain
Hamaray paas yahi kuch maal dard ka hai
Yahin kahin meray andar koi tarapta hai
Yahin kahin pe koi yar'ghamaal dard ka hai
Isi liye to hamein ajz ka qareena hai
Hamari zaat main jaah-o-jalaal dard ka hai
Hai maar rakhnay kay dar pe teri maseehai
Jo dora hai mann main ghazaal dard ka hai
Wahin kahin kisi ghaati main tera hijar bhi hai
Meray lahu se jahan itisaal dard ka hai
Nafs nafs pe paray aablon se lagta hai
Na janay rooh main kab se ubaal dard ka hai
Yahi to farq hai in main aur aap main Farhat
Kisi ko apna kisi ko khayal dard ka hai
Kisi ne poocha keh farhat bhout haseen ho tum
To muskura kay kaha sab jamaal dard ka hai
No comments:
Post a Comment