Kab talak dil ko chupa rakhein gay
Dukh kay deemak ki nazar paar utar jati hai
Zindagi jaisay ghatta top andheray main basar hoti hai
Na'gahani kisi biphray huye wehshi ki tarah
Rooh ki dhool urra jati hai
Sukh ki be'sood tamana'on ki pa'daash main yak'tarfa saza
Aan girti hai kisi ghaib se na'deedgi adal kay palron pe safar karti hui
So rahay hotay hain thak haar kay punchi gham kay
Dara kay daraa jati hai
Kab talak dil ko chupa rakhein gay
Khoon main utri hui mout se kya ojhal hai
Shaakh se liptay huye saamp ki manind bhout dheeray se
Aashiyanay ki taraf barhti hai
Jhar jhari bhi nahin lenay deti
Bain izzat hi sahi miyat ki magar baad ki baaton se kabhi
Saibaan jurtay nahin tootay huye
Aasman zinda nahin ho jatay
Aasman martay hain aur waqat bigar jata hai
Aasman martay hain aur shaher ujar jata hai
Kon si subha jagaein gay sar-e-ehad-e-wafa
Kon si raat sula rakhein gay
Sabar ko koocha azad-o-biyabaan musafat ki tahi matti par
Kab talak aur bhala kis kis se khafa rakhein gay
Koi awaz lotay gi
Koi mehroom dilasa bhi nahin paltay ga
Kab talak dil ko chupa rakhein gay
Sog ka sog mana lenay se kya hota hai
No comments:
Post a Comment