Kahin aarzu-e-safar nahin , kahin manzalon ki khabar nahin
Kahin raasta hi andhera hai , kahin paa nahin kahin par nahin
Mujhay iztaraab ki chah thi mujhay be'kali ki talaash thi
Inhi khwaishaat kay jurm main koi ghar nahin koi dar nahin
Koi chaand tootay ya dil jalay ya zameen kahin se ubal paray
Hum aseer surat-e-haal hain , hamein haadsaat ka dar nahin
Ae hawa-e-mousam zara mujhay saath rakh meray saath chal
Meray saath meray qadam nahin meray paas meri nazar nahin
Yeh jo umar bhar ki riyazatein yeh nagar nagar ki musafatein
Yeh to rog hain mah-o-saal ka yeh to gardashein hain safar nahin
No comments:
Post a Comment