Kahin chand raahon main kho gaya kahin chandani bhi bhatak gayi
Main chragh woh bhi bujha hua meri raat kaisay chamak gayi
Kabhi ujla ujla sa naam hoon , kabhi khoya khoya kalaam hoon
Mujhay subha kirno se bhar gayi mujhay shaam phoolon se dhak gayi
Tujhay bhool janay ki koshishein kabhi kaam'yab na ho sakein
Teri yaad shaakh-e-gulaab hai jo hawa chali to lachak gayi
Kabhi hum milay bhi to kya milay wohi dooriyan wohi faaslay
Na kabhi hamaray qadam barhay , na kabhi tumhari jhijak gayi
Meri dastan ka urooj tha teri narm palkon ki chaaon main
Meray saath tha tujhay jaagna teri aankh kaisay jhapak gayi
No comments:
Post a Comment