Apr 27, 2016

Karwan badlo zara meh'mal badal kar dekh lo


Karwan badlo zara meh'mal badal kar dekh lo 
Aik manzil to nahin manzil badal kar dekh lo 

Kya hua mehfil tumhein pal main pata chal jaye ga 
Aik lamhay kay liye mehfil badal kar dekh lo 

Yeh mohabbat ka shajar hai yeh yahin lag jaye ga 
Tum bajaye nakhal aab-o-gul badal kar dekh lo 

Kiyon dabotay ja rahay ho kashtiyon pe kashtiyan 
Door hai saahil to phir saahil badal kar dekh lo 

Kon kitna chahta hai sab pata chal jaye ga 
Tum hamaray saath apna dil badal kar dekh lo 

Sirf do nuqton main hai duniya ki sari roshni 
Warna jo aankhon main hai woh til badal kar dekh lo 

Sang to jazbaat ko mehsoos kar sakta nahin 
Woh jo seenay main dharri hai sil badal kar dekh lo 

Itna nazuk aaina rakhna zaroori to nahin 
Toot'ta rehta hai dil to dil badal kar dekh lo 

Dooriyan dushwariyan sab samnay aa jayein gi 
Hum se ik pal kay liye manzil badal kar dekh lo 

Sari duniya aik jaisi to nahin hoti Adeem 
Adal hai darkaar to aadil badal kar dekh lo 

Reham aata jaye ga us ko sada tum par Adeem 
Qatal hona hai to phir qatil badal kar dekh lo 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...