Kis hawalay se mujhay kis ka pata yaad aaya
Husan-e-kafar ko jo dekha to Khuda yaad aaya
Aik toota hua paiman-e-wafa yaad aaya
Yaad aaya bhi mujhay to aaj kya yaad aaya
Sham kay haath ne jis waqat laga li mehandi
Mujhay us waqat tera rang-e-hina yaad aaya
Kahin aankhon ki nami raaz na afshaa kar de
Main ne munh phair liya jo zara yaad aaya
Saray funkaar utha laye thay shah'karon ko
Aur main tha mujhay andaaz tera yaad aaya
Kitni duniya thi meray gird tujhay kya maloom
Bari mushkil se mujhay tera pata yaad aaya
Teray daman main nami itni ziyada kiyon hai
Kon sa phool tujhay baad-e-saba yaad aaya
Jab kisi ko koi umeed wafaon ki na thi
Mujhay us pal tera paiman-e-wafa yaad aaya
Qadam uth'tay thay kahan su-e-haram apnay Adeem
Aaj mushkil nazar aayi to Khuda yaad aaya
No comments:
Post a Comment