Koi pathar koi gehar kiyon hai
Farq logon main is qadar kiyon hai
Tu mila hai to yeh khayal aaya
Zindagi itni mukhtasir kiyon hai
Jab tujhay loat kar nahin aana
Muntazir meri chasham-e-tar kiyon hai
Us ki aankhein kahin sadaf to nahin
Us ka her ashk hi gehar kiyon hai
Raat pehlay hi kiyon nahin dhalti
Tairagi shab ki ta'sehar kiyon hai
Yeh bhi kaisa azab de dala
Hai mohabbat to is qadar kiyon hai
Tu nahin hai to roz-o-shab kaisay
Shaam kiyon aa gayi sehar kiyon hai
Kiyon rawana hai her gharri duniya
Zindagi mustaqil safar kiyon hai
Main to ik mustaqil musafir hoon
Tu bhala mera humsafar kiyon hai
Tujhay milna nahin kisi se Adeem
Phir bicharnay ka tujh ko dar kiyon hai
No comments:
Post a Comment