Apr 19, 2016

Kuch ilaaj-e-wehshat-e-ehal-e-nazar bhi chahiye


Kuch ilaaj-e-wehshat-e-ehal-e-nazar bhi chahiye 
Aik pathar bar dukan-e-sheesha gar bhi chahiye 

Na'mukamal hai saqoot-e-karwan ki daastan 
Is main thora sa biyan-e-rah'bar bhi chahiye 

Jin kay daman main duaon kay siwa kuch bhi nahin 
Un ghareebon ki duaon main asar bhi chahiye 

Gulistan-e-aarzu kay inqalabi dour main 
Aik jashan-e-mousam-e-barq-o-sha'rar bhi chahiye

Jo laga detay hain qasar-e-zindagi main aag si 
Aisay sholon kay liye ik ashk-e-tar bhi chahiye 

Phir inhi angraiyon main hashar kay saman hon 
Bazam-e-jana main koi aashfta sar bhi chahiye 

Hon na saghar jis main sang-o-meel ki pabandiyan 
Manzalon tak aik aisi rah'guzar bhi chahiye 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...