Apr 26, 2016

Likh likh kay tera naam mita'ta raha hoon main


Likh likh kay tera naam mita'ta raha hoon main 
Kuch is tarah se tujh ko bhulata raha hoon main 

Dushman to meray paas se guzra nahin kabhi 
Yeh zakham doston se hi khaata raha hoon main 

Lutnay kay baad mujh ko yeh ehsaas ho gaya 
Loota usi ne jis ko bachata raha hoon main 

Jab mujh ko yeh pata tha  woh mera nahin hai phir 
Us ki gali main kis liye jata raha hoon main 

Janay woh kis kay khawab ki tabeer ho gaya 
Aankhon main jis kay khawab sajata raha hoon main 

"Manan " main bhi kis qadar sada mizaaj hoon 
Ik be'wafa ko apna banata raha hoon main 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...