Apr 1, 2016

Main shaam yaadon kay junglon main guzarta hoon keh kuch likhon ga


Main shaam yaadon kay junglon main guzarta hoon keh kuch likhon ga  
Yeh shaher sara hi so chuka hai main jaagta hoon keh kuch likhon ga  

Bahar rut kay woh khawab saray jo meri palkon pe aa sajay thay 
Woh khawab aankhon main jal chukay hain main jal raha hoon keh kuch likhon ga  

Main pichlay mousamon ki barishon ko phir apni aankhon main laa raha hoon 
Keh ab kay sawan ki rut main , main bhi yeh sochta hoon keh kuch likhon ga  

Ajeeb rut hai judaiyon ki , azab din hain azab raatein 
Main chand meh'mal se lafz likh kar yeh sochta hoon keh kuch likhon ga  

Main lafz palkon se chun raha hoon , main khawab kaghaz pe bun raha hoon 
Main teri aahat bhi sun raha hoon main jaanta hoon keh kuch likhon ga  

Woh saray rastay keh jin pe hum tum chalay thay chahat kay sang "Atif
Main ab jo un par kabhi gaya to yeh jaanta hoon keh kuch likhon ga 
 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...