Apr 10, 2016

Mohabbat ka safar kaisa laga hai


Mohabbat ka safar kaisa laga hai 
Yeh jazbon ka bhanwar kaisa laga hai 

Basay ho dil main  to yeh bhi batao 
Yeh ghair abaad gahr kaisa laga hai 

Yahi shikwa tha na tum ko kahon ab 
Dawa na chasham-e-tar kaisa laga  hai

Gali ki ronaqon kay darmiyan main 
Mera sun'saan dar kaisa laga hai 

Meri to rooh tak ghayel hui hai 
Tumhein ujra nagar kaisa laga hai 


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...