Apr 4, 2016

Mujhay ik nazam likhni hai kahin se lafz mil jayein


Mujhay ik nazam likhni hai

Mujhay ik nazam likhni hai
Kahin se lafz mil jayein
Main be'bas hoon
Koi tashbeeh na koi ista'ara theek lagta hai
Kahan se lafz woh laon jo dil ka haal keh payein
Mujhay kitni mohabbat hai
Mujhay kitni aqeedat hai
Mujhay kitni zaroorat hai
Main bat'laa doon inhein sab kuch kahin se lafz mil jayein
Mujhay maan ki dua se jo hawa-e-khald aati hai
Issay main kaisay likhon ga ?
Meray abu ki shafqat jo mujhay jeena sikhati hai
Ussay main kaisay likhon ga ?
Main be'bas hoon
Kahan se lafz woh laaon jo dil ka haal keh payein
Main aisay lafz dhoondon ga
Jinhein likhon to kaghaz par diye se jag'maga uthein
Jinhein sochon to zehan-o-dil ka her gosha mehak jaye
Jinhein honton pe laaon to dua kay phool khil jayein
Kahin se lafz mil jayein
Dhanak orhay huye kuch lafz mujh ko dhoondnay hon gay
Keh jin se nazam likhni hai
Unhein sab kuch batana hai
Mujhay kitni mohabbat hai
Mujhay kitni aqeedat hai
Mujhay kitni zaroorat hai

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...