Mujhay khabar hai
Keh tum main , mujh main jo dooriyan hain
Hamari qismat main woh likhi thein
Main qismaton kay likhay huay ko
Mit'taon kaisay?
Bichar kay tum se , jo aag seenay main jal rahi hai
Batao us ki bujhaon kaisay ?
Keh tum to waqif ho is hunar se
Mujhay khabar hai
Tumhari aankhon main palnay wala her aik sapna
Tumhara kal hai ,
Woh kal keh jis ki her aik aahat
Tum apni dharkan se sun rahi ho
Magar tumhara jo aik kal tha
Tumhein khabar hai woh kal kahan hai ?
Tum is ko maazi bana chuki ho
Her aik rishta bhula chuki ho
Her aik lamhay ka aks dil se mitta chuki ho
Magar tumhara woh kal abhi bhi
Meri nigahon main jal raha hai
Hawa ka rukh to badal raha hai
Magar ajab yeh mohabbatein hain
Keh dil abhi tak !
Tumhari raahon pe chal raha hai
Tumhari khatar machal raha hai
Batao ! is ko bataon kaisay ?
Tumhari aankhon main palnay wala
Koi bhi sapna mera nahin hai
Main aik kal jo guzar chuka hoon
Mujhay batao main kaisay dil se
Tumharay naqsh-e-qadam mitaon
Batao kaisay tumhein bhulaon
Keh tum to waqif ho is hunar se
No comments:
Post a Comment