Apr 26, 2016

Musalsal rokti hoon us ko shaher-e-dil main aanay se


Musalsal rokti hoon us ko shaher-e-dil main aanay se
Magar woh koh'kan rukta nahin dewaar dhanay se

Bhala kya dukh kay aangan main sulagti larkiyan janein 
Kahin chuptay hain aansu aanchalon main munh chupanay se

Abhi to fasal taza hai hamaray harf-o-mahni ki 
Abhi dartay nahin hum mousamon kay aanay janay se

Abhi to ishq main aankhein bichi hain , dil salamat hai 
Zameenein banjh hoti hain kabhi faslein jalanay se 

Tujhay tanha mohabbat ka yeh dariya paar karna hai 
Nadamat ho gi us kay hoslon ko azmanay se

Hamein kis zarf kay kirdaar kay qissay sunata hai 
Tujhay Ae shaher hum bhi jantay hain ik zamanay se

Tujhay bhi zabat-e-gham kay shouq ne pathar bana dala
Tujhay Ae dil bhout roka tha rasm-o-rah nibhanay se

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...