Parishan aks-e-hasti , Aaina be'noor dekha hai
Meri aankhon ne afsurda chragh-e-toor dekha hai
Saroor-o-kaif ka miyaar apni zaat hai Saqi !
Sharab-e-dard se her jaam ko mamoor dekha hai
Bari muddat se Aashafta umeedain yaad karti hain
Kahin is bazam main yaaro ! dil-e-majboor dekha hai
Yeh dastoor-e-wafa sadiyon se raa'ij hai zamanay main
Sada-e-qurb di jin ko inhi ko door dekha hai
Mazda par tootay sapno ki baratein jag'magati hain
Shararon ko chaman main in dino masroor dekha hai
Kahin lakhat-e-jigar khanay se "Saghar" bhook mit'ti hai
Lahu kay ghoont pee kar bhi koi makh'moor dekha hai
No comments:
Post a Comment