Apr 3, 2016

Piyas kay aalam main kya bolon mujh ko kaisa lagta hai


Piyas kay aalam main kya bolon mujh ko kaisa lagta hai 
Ik qatra bhi us dam Atif , dariya jaisa lagta hai 

Sookhay paton ki aahat ab bhi mujh ko chonkatihai
Yaad hai mujh ko un pe chalna tum ko acha lagta hai 

Main to apnay aap ko aksar yeh samjhata rehta hoon 
Tu sab kuch ahi phir bhi aakhir tu mera kya lagta hai 

Itni muddat se aankhon main khawab nahin utra koi 
Keh ab sapna bhi dekhon to mujh ko sapna lagta hai 

Tum kya meray pyar ki shiddat paimano se napo gay 
Pyar main jitna bhi karta hoon , mujh ko thora lagta hai 

Honton ki muskan se tu ne dard chupaya hai lakin 
Aankhon ki surkhi se tu bhi dil se roya lagta hai 

Apni aankhon main khawabon ko log sajaye baithay hain 
Khawabon ka sodagar phir se shaher main aaya lagta hai 

Dil kay behlanay ko sab se kehta hoon , tanha khush hoon  
Sach poocho to tanha rehna kis ko acha lagta hai 

Palkon ki baarhon pe jo tum asjk sajaye baithay ho 
Dil main yaadon ka phir koi jhonka aaya lagta hai 

Jaisay bheer main bacha koi gum ho jata hai "Atif"
Tum jab saath nahin hotay ho , mujh ko aisa lagta hai 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...