Sawan kay suhanay mousam main ik naar mili badal jaisi
Be'pankh uranein leti hai jo apnay hi aanchal jaisi
Woh jis ki qamar tak choti hai , rangat main laal barooti hai
Chu kar jo ussay dekha main ne woh mujh ko lagi makh'mal jaisi
Laya hai bana kar us ko dulhan , yeh joban , yeh albela pan
Is umar main sar se paon tak lagti hai woh taaj mehal jaisi
Chehray pe sajay aainay , ya do be'dagh nageenay hain
Kis jheel se ayi hain dhul kar yeh aankhein neel kanwal jaisi
Jo dekhay ussay woh kho jaye , kho jaye to shair ho jaye
Us ka andaz hai geeton sa , us ki awaz ghazal jaisi
Woh jo qateel ab yaad aaye sapna jaisay koi dohraye
Main aaj bhi su ko chahata hoon , par baat kahan woh kal jaisi
No comments:
Post a Comment