Surahi jaam se takraiye barsaat kay din hain
Hadees-e-zindagi dohraiye barsaat kay din hain
Safeena le chala hai kis mukhalif simt ko zaalim
Zara malah ko samjahiye barsaat kay din hain
Kisi pur'noor tohmat ki zaroorat hai ghattaon ko
Kahin se meh'washon ko laiye barsaat kay din hain
Tabiyat gardish-e-doran ki ghbrai hui si hai
Parishan zulf ko suljhaiye barsaat kay din hain
Baharein in dino dasht-e-biyabaan main bhi aati hain
Faqeeron pe karam farmaiye barsaat kay din hain
Yeh mousam shorish-e-jazbat ka makhsoos mousam hai
Dil-e-na'daan ko behliye barsaat kay din hain
Sohanay aanchalon kay saaz par aashar "Saghar" kay
Kisi be'chain dhun main gaaiye barsaat kay din hain
No comments:
Post a Comment