Apr 6, 2016

Teri duniya main ya'rab zeest kay samaan jaltay hain


Teri duniya main ya'rab zeest kay samaan jaltay hain 
Faraib-e-zindagi ki aag main insaan jaltay hain 

Dilon main azmat-e-toheed kay deepak fasurda hain 
Jabeeno par riya-o-takabur kay farmaan jaltay hain 

Hawas ki baar'yaabi hai khird mandon ki mehfil main 
Ru pehli tikliyon ki oat main emaan jaltay hain 

Hawadas raqs farmaa hain , qayamat muskurati hai 
Suna hai na'khuda kay naam se toofan jaltay hain 

Shagoofay jhooltay hain , is chaman main bhook kay jhoolay 
Baharon main nash-e-man to behar-e-unwaan jaltay hain 

Kahin pazaib ki chhan chhan main majburi tarapti hai 
Riya dam tor deti hai , sunehray daan jaltay hain 

Manao ! jashan-e-may'noshi , bakhero ! zulf-e-may'khana 
Ibadat se to "Saghar" dehar kay shaitaan jaltay hain

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...