Apr 7, 2016

Tumhein kiyon itni jaldi thi



Tumhein kiyon itni jaldi thi ?

Meray humdam , meray sathi
Tumhein to yaad hi ho ga
Woh din kya khaas tha jab tum meray jeewan aayi thein
Meri be'rang duniya ko tumhari muskurahat ne hazaron rang bakshay thay
Ussay kaisay sajaya tha tumhein to yaad hi ho ga
Tumhein main ne bataya tha
Keh main khawabon main rehta hoon
magar tum ik haqeeqat ho
Mohabbat hi mohabbat ho
Phir us kay baad jeewan kay sabhi mousam , sabhi manzir tumhari aankh se dekhay
Tumharay saath jo guzray wohi apl zindagi thehray
Tumhein to yaad hi ho ga , mujhay kab yaad rehta tha
Mujhay kya kaam karnay hain
Mujhay kis kis se milna hai
Kahan jana zaroori hai
Khafa koi hai kiyon mujh se
Kissay jaa kar mana'na hai
Mujhay kab yaad rehta tha
Mera ma'mool to tum thein
Tumhi sab yaad rakhti thein
Main apnay dil ki sab baatein faqat tum se hi karta tha
Tumhari bhi yeh aadat thi
Tumhein to yaad hi ho ga main aksar tum se kehta tha
Abhi is zindagi kay saath kitnay rog liptay hai
Mujhay tum se mohabbat ki zara fursat nahin milti
Zara woh waqat aanay do , zara fursat milay mujh ko
Bitha kar samnay tum ko tumhein jee bhar kay dekhon ga
Bataon ga mujhay tum se mohabbat si mohabbat hai
Mujhay is dam mili fursat
Keh jab yeh baat sun'nanay ko nahin tum samnay meray
Meri jaan tum wahan par ho jahan se loat kar wapis kabhi koi nahin aata
Tumhein kiyon itni jaldi thi ?
Mera iqraar sun leti , mera izhaar sun leti
Keh ab fursat hi fursat hai
Keh ab ma'mool main meray faqat tum se mohabbat hai
Magar yeh bhi haqeeqat hai
Keh main ta'kheer se poncha , tumhein janay ki jaldi thi

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...