Apr 30, 2016

Zindagi sirf isi dhun main guzaray jayein


Zindagi sirf isi dhun main guzaray jayein 
Bas tera naam , tera naam pukaray jayein 

Jab yeh teh hai keh yahan koi nahin aaye ga 
Kis ki khatar dar-e-dewar sanwaray jayein 

Aik tujh tak na ponch paye meray dard ki aanch 
Aasman tak to meray gham kay shararay jayein 

Jab mulaqaat na thi tab to koi baat na thi 
Ab yeh tanhai kay din kaisay guzaray jayein 

Yahan gham'khawar nahin hai wahan azaar nahin 
Kis jahan main yeh teray dard kay maaray jayein 

Main andheron main nahin main to wahan jaon ga 
Woh jahan saath meray chand sitaray jayein 

Jeet kar to kahin lay jaye musalsal hum ko 
Aur hum roz teri chah main haaray jayein 

Marg-e-jaan gar na sahi marg-e-mohabbat hi sahi 
Zindagi kuch to tera qarz utaaray jayein 

Faaslon se na hua josh-e-mohabbat ka ilaaj 
Yeh to kuch aur bhi jazbon ko ubharay jayein 

Bazam-e-ehbaab to tasveer ka aik rukh hai Adeem 
Is main dushman bhi to do chaar hamaray jayein 

Wasal kay baad mohabbat ki saza theek Adeem 
Maaray jayein bhi to kiyon muft main maaray jayein

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...