Abhi mujhay ik dasht-e-sada ki veerani se guzarna hai
Aik musafat khatam hui hai , aik safar abhi karna hai
Giri hui deewaron main jakray se huye darwazon ki
Khaakstar si dehleezon par sard hawaon ne darna hai
Dartay jana hai dasht-o-jal ne tanhai ki haibat se
Aadhi raat ko jab mehtaab ne tareeki se ubharna hai
Yeh to abhi aaghaz hai jaisay is pehnaye hairat ka
Aankh ne sanwar jana hai rang ne aur nikharna hai
Jaisay zar ki peelahat main moj-e-khoon utar'ti hai
Zehar-e-zar kay tund nashay ne deeda-e-dil main utarna hai
No comments:
Post a Comment