Barishon main us se ja kay milnay ki hasrat kahan
Kooknay do koyel ko , ab mujhay farsat kahan
Jee to kehta hai keh us ko sath hi rakhein magar
Apnay paas is husan Aaish angez ki qeemat kahan
Talkh us ko kar diya arbaab-e-qariya ne bhout
Warna ik shair kay dil main is qadar nafrat kahan
Rok saktay thay ussay hum ibtida kay dour main
Ab hamein dewangi-e-shaher par qudrat kahan
Daikhta hoon her taraf , shayed dikhai de kabhi
Par firakh-e-dasht main aadam ki woh surat kahan
Aik manzil yeh bhi thi khawabon ki warna Ae Munir
Main kahan aur us diyar-e-ghair ki ghurbat kahan
No comments:
Post a Comment