Kaisa maftooh sa manzar hai kai sadiyon se
Meray qadmon pe mera sar hai kai sadiyon se
Khouf rehta hai na sailaab kahin lay jaye
Meri palkon pe tera ghar hai kai sadiyon se
Us kay pani main bhi pehlay sa woh thehrao nahin
Tu bhi be'chain samandar hai kai sadiyon se
Ashk aankhon main sulagtay huye so jatay hain
Yeh meri aankh jo banjar hai kai sadiyon se
Kon kehta hai mulaqat meri aaj ki hai
Tu meri rooh kay andar hai kai sadiyon se
Yeh mujhay saans bhi khul kar nahin lenay deta
Meri sheh'rag pe jo khanjar hai kai sadiyon se
Ae meri maan main her aik dhoop se larr sakta hoon
Meray sar pe teri chadar hai kai sadiyon se
Main ne jis kay liye her shakhs ko naraz kiya
Rooth jaye na yeh hi dar hai kai sadiyon se
Us ki aadat hai jarrein kaat'tay rehnay ki Wasi
Jo meri zaat ka mehwar hai kai sadiyon se
No comments:
Post a Comment