Chalo is khawab ko hum tark kar dain
Aur aankhon pe saja dain
Keh her tasveer main halka gulabi rang chahnay se nahin aata
Bhout se naqsh , naqaash azal aisay banata hai
Keh jis ka hashiya gehra siyah
Aur naqsh halka sur,mai rehta hai
Aur jis par kis bhi zawiye se chand utray
Yeh kabhi roshan nahin hotay
Khuda kuch kaam aadhi raat ko karta hai
Jab is kay piyalay main
Siyahi kay siwa kuch bhi nahin hota
Yeh khaaka bhi
Kisi aisi hi sama'at main bana ho ga
Hamari aankh main jo khawab utra tha
Bhout khush rang lagta tha
Magar is kay damaknay main
Kai aankhein lahu hotein
Kitabon aur phoolon se sajay jis ghar kay aangan main
Hum apnay aap ko khiltay huye mehsoos kartay thay
Wahan ik aur ghar buniyad se youn sar utha'ta tha
Keh hum andar se hil jatay
Magar chup chaap rehtay thay
Yeh chup deemak ki surat hum ko ik din chaat jati
Tumharay dukh se main waqif hoon
Aur apnay muqaddar ki lakeeron ki bhi mehram hoon
Hamaray bas main rangon ka chunao hai
Na khat ka
So is tasveer ko tehleel kar dain
Hum apnay canvis tabdeel kar lain !
No comments:
Post a Comment