May 20, 2016

Dukh dard main hamesha nikalay tumharay khat




Dukh dard main hamesha nikalay tumharay khat
Aur mil gayi khushi to uchalay tumharay khat

Sab chooriyan  tumhari samandar ko somp dein 
Aur kar diye hawa kay hawalay tumharay khat

Meray lahu main gooj raha hai her ik lafaz 
Main ne ragon kay dasht main paalay tumharay khat

Youn to hain be'shumar wafa ki nishaniyan 
Lakin her ik shay se niralay tumharay khat

Jaisay ho umar bhar ka asaasa ghareeb ka 
Kuch is tarah se main ne sambhalay tumharay khat

Ehal-e-hunar ko mujh pe Wasi aitraaz hai 
Main ne jo apnay shair main dhaalay tumharay khat

Parwa mujhay nahin hai kisi chand ki Wasi 
Zulmat kay dasht main hain ujaalay tumharay khat

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...