Gaon mitt jayein gay , shaher jal jaye ga
Zindagi tera chehra badal jaye ga
Hum ghareebon ki is bheer main tum kahan
Yeh kalaf waar karta masal jaye ga
Aag par raqs karnay main yakta hai tu
Barf par paon tera phisal jaye ga
Main isi fikar main raat soya nahin
Chand taron ko suraj nigal jaye ga
Ab usi din likhon ga dukhon ki ghazal
Jab mera haath aahan main dhal jaye ga
Kuch likh marsiya , masnavi ya ghazal
Koi kaghaz ho pani main gal jaye ga
Main agar muskura kay inhein dekh loon
Qaatlon ka irada badal jaye ga
No comments:
Post a Comment