Gul-e-zuban pe wohi sardiyon ka mousam hai
Tumhari "Haan" pe wohi sardiyon ka mousam hai
Darakhat par jo kabhi churiyon se dala tha
Us ik nishan pe wohi sardiyon ka mousam hai
Yeh aik hum keh nayi boliyan sada bolein
Teri zuban pe wohi sardiyon ka mousam hai
Sulag rahi hain dehan main qabaein lafzon ki
Magar zuban pe wohi sardiyon ka mousam hai
Tumharay aanay pe suraj kay haath chamkein gay
Meray makan pe wohi sardiyon ka mousam hai
Her aik simat pighalnay lagay hain sanatay
Teray biyan pe wohi sardiyon ka mousam hai
Jahan jahan teri khushbu kay rang bikhray hain
Wahan wahan pe wohi sardiyon ka mousam hai
Teri judai kay pal se hua hai ishq hanoot
Keh is jahan pe wohi sardiyon ka mousam hai
Woh "Haan" karay gi baharon main us ka wada tha
Us aik "Haan" pe wohi sardiyon ka mousam hai
Woh mujh ko somp gaya furqatein december main
Darakhat-e-jaan pe wohi sardiyon ka mousam hai
Hamaray lab to duaein jalaye rakhtay hain
Par aasman pe wohi sardiyon ka mousam hai
No comments:
Post a Comment