May 23, 2016

Hamaray paas to ayo , bara andhera hai


Hamaray paas to ayo , bara andhera hai 
Kahin na chor kay jayo , bara andhera hai 

Udas kar gaye be'sakhta lateefay bhi 
Ab aansu'on se rulao , bara andhera hai 

Koi sitara nahin pathron ki palkon par
Koi chragh jalao , bara andhera hai 

Haqeeqaton main zamanay bhout guzar chukay 
Koi kahani sunao , bara andhera hai 

Kitabein kaisi utha laye may'kaday walay 
Ghazal kay jaam uthao , bara andhera hai 

Ghazal main jis ki hamesha chragh jaltay hain 
Ussay kahin se bulao , bara andhera hai 

Woh chandani ki bisharat hai harf-e-aakhir tak 
Bashir Badr ko lao , bara andhera hai

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...