Imtihan hum ne diye is daar-e-fani main bhout
Ranj kheenchay hum ne apni la'imkani main bhout
Woh nahin us sa to hai khawab-e-bahar-e-jawidan
Asal ki khushbu urri hai us kay sani main bhout
Raat din kay aanay janay main yeh sona jaagna
Fikar walon ko patay hain is nishani main bhout
Koyelein kookein bhout dewar-e-gulshan ki taraf
Chand-o-maka hoz kay shafaaf pani main bhout
Us ko kya yaad thein kya aur , kis jaga pe reh gayein
Tez hai dariya-e-dil apni rawani main bhout
Aaj is mehfil main tujh ko bolta dekha Munir
Tu keh jo mashoor tha youn be'zubani main bhout
No comments:
Post a Comment