Jaisay ma'sham-e-jaan main samai hui hai raat
Khushbu main aaj kis ki nahaai hui hai raat
Sar'goshiyon main baat karein abar-o-baad-o-khaak
Is waqat kainaat pe chaai hui hai raat
Her rang jis main khawab ka ghulta chala gaya
Kis rang se khuda ne banai hui hai raat
Phoolon ne us ka jashan manaya zameen par
Taaron ne aasman pe sajaai hui hai raat
Woh chand chup chuka hai magar shaher-e-deed ne
Ab tak usi tarah se basaai hui hai raat
Subha jamal-e-yaar kay jadu ko daikh kay
Hum ne nazar se apni chupai hui hai raat
No comments:
Post a Comment