Kaisi kaisi be'samar yadon kay badlon main rahay
Hum bhi itni zindagi kaisay wabalon main rahay
Ik nazar bandi ka aalam thi nagar ki zindagi
Qaid main rehtay thay jab tak shaher walon main rahay
Hum agar hotay to miltay tujh se bhi jaan-e-jahan
Khawab thay , na'paid duniya kay malalon main rahay
Woh chamakna barq ka dasht-o-dar-o-dewar par
Saray manzir ik pal us kay ujalon main rahay
Kya thein woh batein jo kehna chahtay thay waqat-e-marg
Aakhri dam-e-yaar apnay kin khayalon main rahay
Door tak maskan thay ban un ki sadaon kay Munir
Dair tak un nariyon kay gham shawalon main rahay
No comments:
Post a Comment