May 31, 2016

Koi hadd nahin hai kamal ki


Koi hadd nahin hai kamal ki 
Koi had nahin hai jamal ki 

Wohi qarb-o-door ki manzalein 
Wohi shaam khawab-o-khayal ki 

Na mujhay hi us ka pata koi 
Na ussay khabar meray haal ki 

Yeh jawab meri sada ka hai 
Keh sada hai us kay sawal ki 

Yeh nimaz-e-asar ka waqat hai 
Yeh gharri hai din kay zawal ki 

Woh qiyamatein jo guzar gayein 
Thi amanatein kai saal ki 

Hai Munir teri nigah main 
Koi baat gehray malaal ki

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...