Main apni pyas par khamosh thi
Aur raig-e-sehra ki tarah se zindagi ko dhoop ka tukra samjhti thi
Kabhi sairaab honay ki tamana ne
Badan main sar uthaya bhi
To apnay dil se mazrat kar li
Kaha us se
Keh andar aag kaisi hi bharakti ho
Mujhay baarish ki janib aankh utha kar dekhnay ka haq nahin hai
Zuban par aablay partay rahein
Lakin mujhay shabnam nahin chakhni
Mujhay badalon kay haathon se koi tohfa nahin lena
Nami ki aik hi surat hai meri zindagi main
Aur woh aansu hai !
Magar jab se kisi lehjay kay num ne
Meray dil ki rait ko aa kar chua hai
Meray andar
Mukamal bheeg janay ki tamana jaag uthi hai
Lahu main ab meray bas aatish siyaal hai
Aur jisam angaray ki tarah se dehakta hai
Magar kya bakhat hai mera
Keh dariya choom kar mera kinara
Chor deta hai
Sarapa-e-tishnagi hoon
Aur bharra piyala labon tak laa kay koi
Kheench leta hai !
No comments:
Post a Comment