Safar main hai jo azal se yeh woh bala hi na ho
Kawar khol kay dekho , kahin hawa hi na ho
Nigah-e-aaina maloom aks na'maloom
Dikhai deta hai jo asal main chupa hi na ho
Zameen kay gird bhi pani , zameen ki teh main bhi
Yeh shaher jam kay kharra hai jo tairata hi na ho
Na ja keh us se paray dasht-e-marg ho shayed
Palatna chahye wahan se to raasta hi na ho
Main is khayal se jata nahin watan ki taraf
Keh mujh ko daikh kay us butt ka jee bura na ho
Kati hai jis kay khayalon main umar apnu Munir
Maza to jab hai keh us shokh ko pata hi na ho
No comments:
Post a Comment