Taaron ki chilmano se koi jhaankta bhi ho
Is kainaat main koi muntazir naya bhi ho
Itni siyah raat main kis ko sadaein doon
Aisa chragh de jo kabhi bolta bhi ho
Main kis tarah yeh maan loon fasal-e-bahar
Ik phool to khilay koi patta har'ra bhi ho
Woh meray saath chal sakay is dhoop chaon main
Mehboob khush mizaaj ho , gham aashna bhi ho
Duniya badal gayi hai abhi aur badlay gi
Kaisay kahon keh aankh main sharm-o-haya bhi ho
Woh chand to nahin hai magar chand ki tarah
In pathron ki Oat se ab jhaankta bhi ho
No comments:
Post a Comment