May 27, 2016

Teray lehjay main ab ki baar aisi shanti thi


Teray lehjay main ab ki baar 
Aisi shanti thi 
Jo ik gehray taz'ba'zab se nikal kar 
Zehan main aik faisalay kay baad aati hai 
Taz'ba'zab se nikalna is qadar asaan nahin jana 
Yeh woh jungle hai 
Jis main raastay ik doosray ko kaat detay hain 
Musafir ik qadam aagay barhata hai 
To so khadshaat daman thaam letay hain 
Koi rasta dikhanay ka kahan sochay 
Chraghon ka to kya kehna 
Yahan to jugnu'on pe shak guzarta hai 
So aisay ghup andheray main 
Yaqeen ki sham'ma kis ne aa kay teray dil main roshan ki 
Teray chehray pe ab ki baar 
Kaisi roshni thi !

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...