Jun 8, 2016

Jab kabhi us ki tawajo main kami payi gayi


Jab kabhi us ki tawajo main kami payi gayi 
Az sar-e-no dastaan-e-shouq dohraai gayi 

Bik gaye jab teray lab phir tujh ko kya shikwa agar 
Zindgani bada-o-saghar se behlaai gayi 

Ae gham-e-duniya ! Tujhay kya ilam teray wastay 
Kin bahano se tabiyat raah pe laai gayi 

Hum karein tark-e-wafa acha chalo youn hi sahi 
Aur agar tark-e-wafa se bhi na ruswai gayi 

Kaisay kaisay chasham-o-aariz gard-e-gham se bujh gaye 
Kaisay kaisay paikron ki shaan zebai gayi 

Dil ki dharkan main tawazan aa chala hai khair ho 
Meri nazrein bujh gayi ya teri ra'nai gayi 

Un ka gham , un ka tasawur un kay shikway ab kahan 
Ab to yeh baatein bhi ae dil ho gayi aai gayi 

Arsa-e-hasti main ab tesha zano ka dour hai 
Rasam-e-changaizi uthi , toqeer taar'tari gayi !  

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...