Main ne chand aur sitaron ki tamana ki thi
Mujh ko raaton ki siyahi kay siwa kuch na mila
Main woh naghma hoon jissay pyar ki mehfil na mili
Woh musafir hoon jissay koi bhi manzil na mili
Zakham paye hain baharon ki tamana ki thi
Main ne chand aur sitaron ki tamana ki thi
Kisi gaisu kisi aanchal ka sahara hi nahin
Raastay main koi dhundla sa sitara hi nahin
Meri nazron ne nazaron ki tamana ki thi
Main ne chand aur sitaron ki tamana ki thi
Dil main na'kaam umeedon kay baseray paye
Roshni lenay ko nikla to andheray paye
Rang aur noor kay dharon ki tamana ki thi
Main ne chand aur sitaron ki tamana ki thi
No comments:
Post a Comment