Main ne her chand gham-e-ishq ko khona chaha
Gham-e-ulfat gham-e-duniya main samona chaha
Wohi afsanay meri simat rawan hain ab tak
Woh sholay meray seenay main nihan hain ab tak
Wohi be'sood khalish hai meray seenay main hanooz
Wohi be'kaar tamana'ein jawan hain ab tak
Woh hi gaisu meri raaton pe hain bikhray bikhray
Wohi aankhein meri janib nigran hain ab tak
Kasrat-e-gham bhi meray gahm ka madawa na hui
Meray be'chain khayalon ko sakon mil na saka
Dil ne duniya kay her aik dard ko apna to liya
Muz'mahil rooh ko andaz-e-junoon mil na saka
Meri takhiyul ka sheeraza barham hai wohi
Meray bujhtay huye ehsaas ka aalam hai wohi
Wohi be'jaan iraday wohi be'rang sawal
Wohi be'rooh kasha'kash wohi be'chain khayal
Aah isi kash mukash subha-o-masa ka anjaam
Main bhi na'kaam meri saa'ei amal bhi na'kaam
No comments:
Post a Comment