Ugga sabza dewar par aahista aahista
Hawa khali sadaon se nagar aahista aahista
Ghirra badal khamoshi se khizan asaar baghon par
Hillay thandi hawaon main shajar aahista aahista
Bhout hi sust tha tha manzir lahu kay rang lanay ka
Nishan aakhir hua yeh surkh tera aahista aahista
Chamak zar ki ussay aakhir makan-e-khaak main laai
Banaya naag ne jismon main ghar aahista aahista
Meray baahir fasee'lein thein ghubar khaak-o-baran ki
Mili mujh ko teray gham ki khabar aahista aahista
Munir is mulak par Asaib ka saya hai ya kya hai
Keh harkat tez tar hai aur safar aahista aahista
No comments:
Post a Comment