Yeh meri ghazlein , yeh meri nazamein
Yeh meri ghazlein , yeh meri nazamein
Tamam teri hikayatein hain
Yeh tazkaray teray lutf kay hain
Yeh shair teri shikayatein hain
Main sab teri nazar kar raha hoon
Yeh un zamano ki sa'atein hain
Jo zindagi kay naye safar main
Tujhay kisi waqat yaad ayein
To aik ik harf jee uthay ga
Pehan kay infaas ki qabaein
Udaas tanhaiyon kay lamhon
Main naach uthain gi yeh apsara'ein
Mujhay teray dard kay ilawa bhi
Aur dukh thay yeh maanta hoon
Hazar gham thay jo zindagi ki
Talash main thay yeh jaanta hoon
Mujhay khabar thi keh teray aanchal main
Dard ki rait chhaanta hoon
Magar her ik baar tujh ko chu kar
Yeh rait rang-e-hina bani hai
Yeh zakham gulzaar ban gaye hain
Yeh aah-e-sozan ghat'ta bani hai
Yeh dard moj-e-saba hua hai
Yeh aag dil ki sada bani hai
Aur ab yeh sari mata-e-hasti
Yeh phool yeh zakham sab teray hain
Yeh dukh kay nohay yeh sukh kay naghmay
Jo kal meray thay woh ab teray hain
Jo teri qurbar teri judai
Main kat gaye roz-o-shab teray hain
Woh tera shair tera mughni
Woh jis ki baatein ajeeb si thein
Woh jis kay andaaz khusar'wana thay
Aur ada'ein ghreeb si thein
Woh jis ki jeenay ki khawaishein bhi
Khud us kay apnay naseeb si thein
Na pooch us ka keh woh dewana
Bhout dino ka ujjar chuka hai
Woh koh'kan to nahin tha lakin
Karri chitano se larr chuka hai
Woh thak chuka tha aur us ka taisha
Usi kay seenay main garr chuka hai
No comments:
Post a Comment