Zindagi bhar nahin bhoolay gi woh barsaat ki raat
Aik anjaan haseena se mulaqat ki raat
Haye woh reshmi zulfon se barasta pani
Phool se galon pe ruknay ko tarasta pani
Dil main toofan uthaye huye jazbaat ki raat
Zindagi bhar nahin bhoolay gi woh barsaat ki raat
Darr kay bijli se achanak woh lipatna us ka
Aur phir sharam se bal kha kay simat'na us ka
Kabhi daikhi na suni aisi tilismaat ki raat
Zindagi bhar nahin bhoolay gi woh barsaat ki raat
Surkh aanchal ko daba kar jo nichora us ne
Dil pe jalta hua ik teer sa chora us ne
Aag pani main lagatay huye halaat ki raat
Zindagi bhar nahin bhoolay gi woh barsat ki raat
Meray naghmon main jo basti hai woh tasveer thi woh
No'jawani kay haseen khawab ki tabeer thi woh
Aasmano se utar ayi thi jo raat ki raat
Zindagi bhar nahin bhoolay gi woh barsaat ki raat
No comments:
Post a Comment