Kisi se koi khafa bhi nahin raha ab to
Gila karo keh gila bhi nahin raha ab to
Woh ka'hishein hain keh aish-e-junoon to kya yehni
Gharoor-e-zehan-e-risa bhi nahin raha ab to
Shakist-e-zaat ka iqraar aur kya ho ga
Keh adaa-e-wafa bhi nahin raha ab to
Chunnay huye hain labon pe teray hazar jawab
Shikayaton ka maza bhi nahin raha ab to
Hoon mubtala-e-yaqeen , meri mushkalein mat pooch
Gumaan uqda kasha bhi nahin raha ab to
Meray wajood ka ab kya sawal hai yehni
Main apnay haq main bura bhi nahin raha ab to
Yeh hi atiya subh-e-shab-e-wisaal hai kya
Keh sehar-e-naz-o-adaa bhi nahin raha ab to
Yaqeen kar jo teri aarzu main tha pehlay
woh lutf teray siwa bhi nahin raha ab to
Woh sukh wahan keh khuda ki hain bakh'shish'ein kya kya
Yahan yeh dukh keh Khuda bhi nahin raha ab to
No comments:
Post a Comment