Mujh ko to gir kay marna hai
Baqi ko kya karna hai
Shaher hai chehron ki tamseel
Sab ka rang utarna hai
Waqat hai woh natak jis main
Sab ko daraa kar darna hai
Meray naqsh-e-sani ko
Mujh main hi se ubharna hai
Kaisi talaafi kya tadbeer
Karna hai aur bharna hai
Jo nahin guzra hai ab tak
Woh lamha to guzarna hai
Apnay gumaan ka rang tha main
Ab yeh rang bharna hai
Hum do paye hain so hamein
Maze pe jaa kay charna hai
Chahay hum ko bhi kar lain
Hum aison ko sudharna hai
Hum to hain ik lamhay kay
Phir bhi wada karna hai
No comments:
Post a Comment